Wednesday 31 July 2013

Aalim Ke Qalam Ki Roshnai ……


 Aalim Ke Qalam Ki Roshnai ……

∗ Nabi-E-Karim (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,
Ek (1) Fakih Yani Deen Ka Ek(1) Aalim Shaitan Par Hajaro
Ibadat Karne Walo(Deendar) Se Jyada Bhari Hai.
-: (Tirmizi Sharif)

∗ Aalim Ke Qalam Ki Roshnai Shaheed Ke Khoon Se Jyada Mukaddas Hai, Isiliye Parhna(Ilm) Sikhe , Aur Jab Sikh Jaye To Auro Ko Parhaiye
-: Hazrat Bilal(Radhi Allahu Ta’ala Anhu)

∗ Ek Aalim Apni Mout Ke Bad Bhi Zinda Hai Jab Ki Ek Jaahil Murda Hai
Phir Chahe Woh Zinda Hi Kyun Na Ho.

∗ Aalim Woh Shakhs Hai, Jo Ilm Par Amal Bhi Kare
Aur Amal Ko Ilm Ke Mutabiq Banaye.

∗ ILM Aisi Khubsurti Hai Jo Chipi(hidden) Rehti Aur
Aisa Rishta Hai Jo Munqata (Disconnect) Nahi Hota.
-: Imaam Ali (Radhi Allahu Ta’ala Anhu)

∗ Aalim-e-Deen Ki Geebat Karne Wala Qayamat Ke Roz Iss Haal Me
Aayega Ke, Uski Peshaani Par Likha Hoga, “Allah Ki Rahmat Se Door”.
-: (Imaam Gazali/Muk.Qulub)

Auraton Ko Namaz Ke Liye Behtar Jagah ……


Auraton Ko Namaz Ke Liye Behtar Jagah ……

» Hadees : Hazrat Abdullah Bin Masood (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Kisi Aurat Ki Allah Ke Nazdeek Iss Se Mehboob Koi Namaz Nahi Ke Wo Apne Nihayat Tareek Kamre Me Namaz Padhe”.
-: (Baihaqi Jild 3, 131)

Kya Mushrikeen Bejaan Buto Ko Poojte The ?


Kya Mushrikeen Bejaan Buto Ko Poojte The ? ….

» Sawaal : Kya Mushrikeen Bejaan (Pathar Ke Bane Huye) Buto Ko Poojte The?

» Jawaab : Buto Ki Haqeeqat Hazrat Ibn-E-Abbaas (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Bayaan Karte Hai.

Qaum-E-Nooh (Alahi Salam) Ke Buth (Bad, Suvaa’a, Yagus, Yaooq, Aur Nasr) Nek Log The, Jab Faut Ho Gaye Toh Shaitaan Ne Unn Ke Qaum Ko Gumraah Kiya Ki Ye Nek Log Jaha Baitha Karte The Vaha Bataur Yaadgaar Pathar Nasb Kar Do Aur Unn Patharo Ko Unn Ke Naamo Se Yaad Karo, Chunaanche Aisa Kiya Gaya, Lekin Uss Daur Me Unn Patharo Ko Pooja Na Gaya, Jab Yeh Log Mar Gaye Aur Baad Valo Par Jahalat Cha Gaye, Ilm Jaata Raha Aur Asal Baat Faramosh Ho Gaye Toh Unn Yaadgaaro Ko Poojna Shuru Kar Diya Gaya.
-: (Bukhaari Sharif, Kitaabut’tafseer)

» Imaam Ibne Qayyim Farmaate Hai Ke, Muttad’did Ahle Ilm Aslaaf Ka Bayaan Hai Ki, Jab Ve Mar Gaye Toh Pahle Ye Log Unn Ke Qabro Ke Mujaavar Bane, Phir Un Ke Mujassame(But) Banaaye Phir Zamaana-E-Daraaz Guzarne Par Unn Ki Ibaadat Karne Lage.
-: (Fathul Majeed Sharah Kitaabut’tauheed-192)

» Ise Liye Allaah Ta’ala Mushrikeen Ke Maboodo Ke Baare Me Quraan-e-Kareem Me Farmaata Hai,
 Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Beshaq Tum Allah Ke Bajaay Jin Ko Pukaarte Ho Voh Tum Jaise Bande Hai”.
-: (Suarah Al-A’raaf : Ayat-197) Aur Farmaaya..

“Aur Jab (Qiyaamat Ke Din) Log Jama Kiye Jayenge We (Bande) Unn Ke Dushman Ho Jayenge Aur Unn Ke Ibaadat Ka Inkaar Kar Denge”.
-: (Surah Al-Ahqaaf : Ayat-6)

Deen Me Nayee Nayee Baate Laana Gumrahi Hai …..


Deen Me Nayee Nayee Baate Laana Gumrahi Hai …..

» Hadees :
Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallhu A’laihi Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Sabse Behtar Amr (Amal Ke Liye) Allah Ki Qitaab Hai Aur Sabse Behtar Tareeqa Muhammad (Sallallahu A’laihi Wasallam) Ke Tareeqa (Tareeqa-e-Zindagi) Hai. Sabse Badtareen(Bura) Kaam Deen Me Nayee Nayee Baaton Ka Paida Karna Hai Aur Har Nayee Baat Gumrahi Hai”.

-: (Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 45)

Shohar Ki NaShukri Karna Kufr Hai ……


Shohar Ki NaShukri Karna Kufr Hai ……

» Hadees : Huzoor (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya,
“Shohar Ki Na Shukri Karna Ek Tarah Ka Kufr Hai”.
-: (Bukhari Sharif : Jild-1,,Hadees-28,Page-109)

» Hadees : Huzoor (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya,
“Tumko Nahi Malum Aurat Ke Liye Shirk Ke Baad Sabse Bada Gunaah Shohar Ki Na-Farmani Hai”.
-: (Ghunyat Ut Talibeen: Page-114)

Maan-Baap Ki Khidmat Se Mehroom Na Raho …..


Maan-Baap Ki Khidmat Se Mehroom Na Raho …..

» Hadees :
Riwayat Kiya Gaya Hai Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) 3 Martaba Farmate Hai Ki,
“Uski Naak Khak Aaluda Ho!!”

Hazrate Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Arz Karte Hai,
“Kiski Ya Rasool’Allah!! ”

Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai,
“Uski Jisne Burhe Maan Baap Ya Unme Se Ek Ko Paya Aur Jannati Na Huwa!!!”
- (Muslim Sharif)

» Tafsir : Iss Se Murad Ye Ki Woh Maan-Baap Ki Khidmat Na Kar Paya, Na Unke Liye Maal Kharch Kar Paya Aur Na Hi Unko Kabhi Khush Rakh Paya!!!
Aurat Ke Liye Uski Shadi Ke Baad Shohar Ke Haq Se Zyada Koi Chiz Barh Kar Nahi Hoti, Magar Mard Ke Liye Hamesha Waledain Ka Haq Chahe Woh Shadi Karle Ya Kunwara Rahe. Har Haal Me Waledain Ka Haq Waisa Hi Barh Kar Rehta Hai.

Shohar Ki NaShukri Karna Kufr Hai ……


 Shohar Ki NaShukri Karna Kufr Hai ……

» Hadees : Huzoor (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya,
“Shohar Ki Na Shukri Karna Ek Tarah Ka Kufr Hai”.
-: (Bukhari Sharif : Jild-1,,Hadees-28,Page-109)

» Hadees : Huzoor (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya,
“Tumko Nahi Malum Aurat Ke Liye Shirk Ke Baad Sabse Bada Gunaah Shohar Ki Na-Farmani Hai”.
-: (Ghunyat Ut Talibeen: Page-114)