Wednesday 31 July 2013

Kya Mushrikeen Bejaan Buto Ko Poojte The ?


Kya Mushrikeen Bejaan Buto Ko Poojte The ? ….

» Sawaal : Kya Mushrikeen Bejaan (Pathar Ke Bane Huye) Buto Ko Poojte The?

» Jawaab : Buto Ki Haqeeqat Hazrat Ibn-E-Abbaas (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Bayaan Karte Hai.

Qaum-E-Nooh (Alahi Salam) Ke Buth (Bad, Suvaa’a, Yagus, Yaooq, Aur Nasr) Nek Log The, Jab Faut Ho Gaye Toh Shaitaan Ne Unn Ke Qaum Ko Gumraah Kiya Ki Ye Nek Log Jaha Baitha Karte The Vaha Bataur Yaadgaar Pathar Nasb Kar Do Aur Unn Patharo Ko Unn Ke Naamo Se Yaad Karo, Chunaanche Aisa Kiya Gaya, Lekin Uss Daur Me Unn Patharo Ko Pooja Na Gaya, Jab Yeh Log Mar Gaye Aur Baad Valo Par Jahalat Cha Gaye, Ilm Jaata Raha Aur Asal Baat Faramosh Ho Gaye Toh Unn Yaadgaaro Ko Poojna Shuru Kar Diya Gaya.
-: (Bukhaari Sharif, Kitaabut’tafseer)

» Imaam Ibne Qayyim Farmaate Hai Ke, Muttad’did Ahle Ilm Aslaaf Ka Bayaan Hai Ki, Jab Ve Mar Gaye Toh Pahle Ye Log Unn Ke Qabro Ke Mujaavar Bane, Phir Un Ke Mujassame(But) Banaaye Phir Zamaana-E-Daraaz Guzarne Par Unn Ki Ibaadat Karne Lage.
-: (Fathul Majeed Sharah Kitaabut’tauheed-192)

» Ise Liye Allaah Ta’ala Mushrikeen Ke Maboodo Ke Baare Me Quraan-e-Kareem Me Farmaata Hai,
 Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Beshaq Tum Allah Ke Bajaay Jin Ko Pukaarte Ho Voh Tum Jaise Bande Hai”.
-: (Suarah Al-A’raaf : Ayat-197) Aur Farmaaya..

“Aur Jab (Qiyaamat Ke Din) Log Jama Kiye Jayenge We (Bande) Unn Ke Dushman Ho Jayenge Aur Unn Ke Ibaadat Ka Inkaar Kar Denge”.
-: (Surah Al-Ahqaaf : Ayat-6)

No comments:

Post a Comment