Wednesday 31 July 2013

Aalim Ke Qalam Ki Roshnai ……


 Aalim Ke Qalam Ki Roshnai ……

∗ Nabi-E-Karim (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,
Ek (1) Fakih Yani Deen Ka Ek(1) Aalim Shaitan Par Hajaro
Ibadat Karne Walo(Deendar) Se Jyada Bhari Hai.
-: (Tirmizi Sharif)

∗ Aalim Ke Qalam Ki Roshnai Shaheed Ke Khoon Se Jyada Mukaddas Hai, Isiliye Parhna(Ilm) Sikhe , Aur Jab Sikh Jaye To Auro Ko Parhaiye
-: Hazrat Bilal(Radhi Allahu Ta’ala Anhu)

∗ Ek Aalim Apni Mout Ke Bad Bhi Zinda Hai Jab Ki Ek Jaahil Murda Hai
Phir Chahe Woh Zinda Hi Kyun Na Ho.

∗ Aalim Woh Shakhs Hai, Jo Ilm Par Amal Bhi Kare
Aur Amal Ko Ilm Ke Mutabiq Banaye.

∗ ILM Aisi Khubsurti Hai Jo Chipi(hidden) Rehti Aur
Aisa Rishta Hai Jo Munqata (Disconnect) Nahi Hota.
-: Imaam Ali (Radhi Allahu Ta’ala Anhu)

∗ Aalim-e-Deen Ki Geebat Karne Wala Qayamat Ke Roz Iss Haal Me
Aayega Ke, Uski Peshaani Par Likha Hoga, “Allah Ki Rahmat Se Door”.
-: (Imaam Gazali/Muk.Qulub)

No comments:

Post a Comment